The naat “پیغام صبا لائی ہے گلزارِ نبی سے” is a beautiful homage to the Prophet Muhammad (PBUH) and his teachings. The phrase translates to “The message of the morning has come from the garden of the Prophet,” evoking a sense of renewal and spiritual awakening.
پیغام صبا لائی ہے گلزارِ نبی سے
آیا ہے بلاوا مجھے دربارِ نبی سے
بھاتی نہیں ہمدم مجھے جنّت کی جوانی
سنتا نہیں زاہد سے میں حوروں کی کہانی
عاشق ہوں مجھے عشق ہے دیوار نبی سے
آیا ہے بلاوا مجھے دربارِ نبی سے
واللہ رازدار ہیں طیبہٰ کے باب کے
بکھرے ہوئے ورق مری دل کی کتاب کے
مجھ کو سنبھالیئے مجھے اپنی جناب سے
آیا ہے بلاوا مجھے دربارِ نبی سے
ہر آہ گئی عرش پہ یہ آہ کی قسمت
ہر اشک پہ اک خُلد ہے ہراشک کی قیمت
تحفہ یہ ملا ہے مجھے دربار نبی سے
آیا ہے بلاوا مجھے دربارِ نبی سے
حاضر گدائے در ہے شہنشاہ ! السلام
مولا سلام سرورِذی جاہ ! السلام
دونوں جہاں کے قبلہ ء حاجات ! السلام
آیا ہے بلاوا مجھے دربارِ نبی سے
پیغام صبا لائی ہے گلزارِ نبی سے
آیا ہے بلاوا مجھے دربارِ نبی سے
Paighaam saba layi hai gulzar-e-nabi se
Aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se
Bhaati nahi hamdam mujhe jannat ki jawani
Sunta nahi zaahid se main hooron ki kahani
Aashiq hoon mujhe ishq hai deewar nabi se
Aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se
Wallaah raazdaar hain Taiba ke baab ke
Bikhre hue warq meri dil ki kitaab ke
Mujhko sambhaaliye mujhe apni janaab se
Aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se
Har aah gayi arsh pe yeh aah ki qismat
Har ashk pe ek khuld hai har ashk ki qeemat
Tohfa yeh mila hai mujhe darbaar nabi se
Aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se
Haazir gadaaye dar hai shahenshah! Assalam
Maula salaam sarwar-e-zi jaa! Assalam
Dono jahaan ke qibla, haajaat! Assalam
Aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se
Paighaam saba layi hai gulzar-e-nabi se
Aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se