“رحمت برس رہی ہے محمد کے شہر میں” is a beautiful Naat that expresses deep love and reverence for the Prophet Muhammad (PBUH). It poetically describes the blessings and mercy that flow in the city of Medina, where the Prophet lived and preached. The verses often highlight themes of spiritual connection, the significance of the Prophet’s teachings, and the sense of peace and joy that envelops those who visit his city. The Naat evokes a sense of devotion and longing for the divine presence associated with the Prophet.
رحمت برس رہی ہے محمد کے شہر میں
ہر شے میں تازگی ہے محمد کے شہر میں
ہر ایک بھر رہا ہے یہاں دامن مراد
مخلوق آ رہی ہے محمد کے شہر میں
دولت سکوں کی ہر جگہ ہم ڈھونڈتے رہے
آخر یہ مل گئی ہے محمد کے شہر میں
ہر سمت آ رہی ہیں صدائیں درود کی
اک دھوم سی مچی ہے محمد کے شہر میں
ایسا لگا کے سامنے خود آ گئے حضور
اک نعت جب پرہی ہے محمد کے شہر میں
روشن ہیں جس کے نور سے دونوں جہاں ریاض
ایسی شمع جلی ہے محمد کے شہر میں
Rehmat bars rahi hai Muhammad ke shehr mein
Har shay mein tazgi hai Muhammad ke shehr mein
Har ek bhar raha hai yahan daamane murad
Makhlooq aa rahi hai Muhammad ke shehr mein
Daulat sukoon ki har jagah hum dhoondte rahe
Aakhir yeh mil gayi hai Muhammad ke shehr mein
Har simt aa rahi hain sadaayen durood ki
Ek dhoom si machi hai Muhammad ke shehr mein
Aisa laga ke samne khud aa gaye Huzoor
Ek naat jab parhi hai Muhammad ke shehr mein
Roshan hain jis ke noor se dono jahan Riyaaz
Aisi shama jalii hai Muhammad ke shehr mein