You are currently viewing یا محمد نور مجسم نعت

یا محمد نور مجسم نعت

YA Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Noor e Mujassam ya Habibi ya Moulai
Taswir e Kamal e Muhabbat Tanwir e Jamal e Khudai

Tera wasf bayan ho kesay Teri (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) kon karega baraai
Nabi ji, Teri kon karega baraai
Is gard e Safar mein gum hai Jibreel e Amin ki Rasai
Yeh rang e Bahar e Gulshan yeh gul aur gul ka jouban
Tere Noor e qadam ka dhovan us dhovan ki rounai

Teri ik nazar ke Talib Tere ik Sukhan par qurban
Yeh sab Tere diwane yeh sab tere sudai
Ma ajmalaka Teri surat, ma ahsanaka teri sirat
Ma akmalaka Teri azmat teri zaat mein gum hai Khudai

Ae Mazhar e Shaan e Jamali Ae Khwaja o banda e Aali
Mujhe Hashr men kaam aajaye mera zoqe sukhan Aaraai
Tu rayees e Roz e Shafa’at tu Amir e Luft o Inayat
Hai Adib ko tujh se nisbat yeh Ghulam hai, Tu Aqa’i
Lyrics: