You are currently viewing نا کہیں سے دور ہیں منزلیں نا کوئی قریب کی بات ہیں

نا کہیں سے دور ہیں منزلیں نا کوئی قریب کی بات ہیں

Lyrics:
Na kahin se door hain manzilein na koi Qareeb ki baat hai
Jise chahe us ko nawaz de, Yeh dar e Habeeb ki baat hai

Jise chaha dar pe bula lia, Jise chaha apna bana lia

Yeh baree karam ke hain faisle, Yeh bare naseeeb ki baat hai

Woh bhatak ke raah mein reh gayi, Yeh machal ke dar se lipat gayi

Woh kisi ameer ki shan thi, Yeh kisi ghareeb ki baat hai

Mujhe jaan se barh ke azeez dil, Mera dard dil se azeez tar

Hai jo dard se bhi azeez tar, Woh mere tabeeb ki baat hai

Mein buron se laakh bura sahi, Magar un se hai mera wastah

Meri laaj rakh le mere khuda, Yeh tere habeeb ki baat hai

Tujhe aye munawar e be nawa dar e shahe se chahiye aur kya

Jo naseeb ho kabhi samna to bare naseeb ki baat hai

Na kahin se door hain manzilein na koi qareeb ki baat hai

Urdu Naat with Lyrics – Waheed Zafar Qasmi