You are currently viewing حضور  میری تو ساری بہار آپ  سے ہے

حضور  میری تو ساری بہار آپ  سے ہے

This naat expresses heartfelt devotion, celebrating how the presence of the Prophet Muhammad (peace be upon him) brings joy and fulfillment to a believer’s life.

The naat “حضور میری تو ساری بہار آپ سے ہے” beautifully expresses the profound love and admiration for the Prophet Muhammad (peace be upon him). The lyrics convey that all joy and happiness in life stem from the Prophet’s teachings and presence. It reflects a deep spiritual connection, highlighting how the Prophet brings light and purpose to a believer’s life, symbolizing hope and divine guidance. The naat is a heartfelt tribute to the impact of the Prophet’s love and mercy.

حضور  میری تو ساری بہار آپ  سے ہے

میں بے قرار تھا میرا قرار آپ   سے ہے

مری تو ہستی ہی کیا ہے مرے غریب نوازجو مل رہا ہے

مجھے سارا پیار آپ   سے ہے

حضور  میری تو ساری بہار آپ  سے ہے

کہاں وہ ارضِ مدینہ کہاں مِری ہستی

یہ حاضری کا سبب بار بار آپ   سے ہے

Huzoor  meri to sari bahar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap  se hai

Main be qarar tha mera qarar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap  se hai

Meri Tu Hasti hi kya hai mere Gharib Nawaz

Jo mil raha hai mujhe sara pyar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap  se hai

Main be qarar tha mera qarar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Kahan wo Arz e Madina kahan meri hasti

Ye haziri ka sabab baar baar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Siyahkaar hoon Aaqa  badi nidamat hai

qasam Khuda ki ye mera waqar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Mohabbaton ka sila kaun aise Deta Hai !

Sunehri Jaliyon mein Yaar e Ghaar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Ye jaan o dil mere to aap pe qurban hue

Jo mujhko saans pe hai ikhtiyar aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Main is yaqeen se zinda hoon Aap  mere hain

Meri hayaat ka daar o madaar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Ye lafz Naat ke jitne hain Aap  dete hain

Ye Naat Goyi mein mera shumar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Huzur  aapki yaadon mein ashk rahmat hain

Yeh meri aankh Zia ashkbaar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Hai zikr Aapka aisa ke aankh bhar aaye

yeh teri aankh Zia ashkbar aapse hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Main be qarar tha mera qarar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap  se hai

Huzoor  meri to sari bahar Aap se hai

Credit : Hafiz Ahmed Raza Qadri

More Naat Sharif Lyrics