You are currently viewing میں تو پنجتن کا غلام ہوں

میں تو پنجتن کا غلام ہوں

The naat “میں تو پنجتن کا غلام ہوں” (translated: “I am the servant of the Five Holy Ones”) is a heartfelt expression of love, devotion, and loyalty to the Ahl al-Bayt, the family of the Prophet Muhammad (PBUH). In this naat, the poet identifies themselves as a humble servant of the “Panjtan Pak”—the five sacred individuals: Prophet Muhammad (PBUH), his daughter Fatimah, his cousin and son-in-law Ali, and his grandsons Hasan and Husayn (may peace be upon them). The poem reflects deep admiration for their virtues, sacrifice, and piety, portraying the speaker’s unwavering allegiance and spiritual connection to them. The naat emphasizes the importance of following their example as a path to righteousness and closeness to God.

میں تو پنجتن کا غلام ہوں

 میں غلام ابن غلام ہوں

مجھے عشق ہے تو خدا سے ہے

 مجھے عشق ہے تو رسول سے

یہ کرم ہے سارا بتول کا

میرے منہ سے آئے مہک سدا

 جو میں نام لوں تیرا جھوم کے

میں تو پنجتن کا غلام ہوں

مجھے عشق سرو و سمن سے ہے

 مجھے عشق سارے چمن سے ہے

 مجھے عشق ان کی گلی سے ہے

 مجھے عشق ان کے وطن سے ہے

مجھے عشق ہے تو علی سے ہے

 مجھے عشق ہے تو حسن سے ہے

 مجھے عشق ہے تو حسین سے

 مجھے عشق شاہ زمن سے ہے

 میں تو پنجتن کا غلام ہوں

 میں غلام ابن غلام ہوں

ہوا کیسے تن ہے وہ سر جدا

 جہاں عشق ہو وہیں کربلا

 میری بات انہی کی بات ہے

 میرے سامنے وہی ذات ہے

 وہی جن کو شیر خدا کہیں

 جنہیں باب صل علیٰ کہیں

 وہی جن کو آل نبی کہیں

 وہی جن کو ذات علی کہیں

 وہی پختہ ہیں میں تو خام ہوں

 میں تو پنجتن کا غلام ہوں

میرا شعر کیا میرا ذکر کیا

 میری بات کیا میری فکر کیا

 میری بات اُنکے سبب سے ہے

 میرا شعر اُنکے ادب سے ہے

 میرا ذکر ان کے طفیل سے

 میری فکر ان کے طفیل سے

کہاں مجھ میں اتنی سکت بھلا

 کہ ہو منقبت کا بھی حق ادا

میں مرید خیر الانام ہوں

 میں تو پنجتن کا غلام ہوں

میں قمر ہوں شاعر بے نوا

 میری حیثیت ہی بھلا ہے کیا

 وہ ہیں بادشاہوں کے بادشاہ

 میں ہوں اُنکے در کا بس اک گدا

 میرا پنجتن سے ہے واسطہ

 میرا نسبتوں کا ہے سلسلہ

 میں فقیر خیر الانام ہوں

 میں تو پنجتن کا غلام ہوں

Mein to panjtan ka ghulam hoon

mein ghulam Ibn e ghulam hoon

mujhe ishq hai to khuda se hai

mujhe ishq hai to rasool se

yeh karam hai sara batool ka

mere munh se aaye mehek sada

jo mein naam loon tera jhoom ke

mein to panjtan ka ghulam hoon

mujhe ishq saro o Saman se hai

mujhe ishq saaray chaman se hai

mujhe ishq un ki gali se hai

mujhe ishq un ke watan se hai

mujhe ishq hai to Ali se hai

mujhe ishq hai to Hasan se hai

mujhe ishq hai to Hussain se

mujhe ishq Shah e Zaman se hai

mein to panjtan ka ghulam hoon

mein ghulam Ibn e ghulam hoon

 huwa kaisay tan sai woh sir judda

jahan ishq ho wahein karbalaa

meri baat unhi ki baat hai

mere samnay wohi zaat hai

wohi jin ko sher e khuda kahain

jinhein baab e salle A’la kahain

wohi jin ko aal e nabi kahain

wohi jin ko zaat Ali kahain

wohi pukhta hain mein to khaam hoon

mein to panjtan ka ghulam hoon

mera shair kya mera zikr kya

meri baat kya meri fikr kya

meri baat unke sabab se hai

mera shair unke adab se hai

mera zikr un ke tufail se

meri fikr un ke tufail se

kahan mujh mein itni sakat bhala

ke ho Munqabat ka bhi haq ada

mein mureed kher ul anaam hoon

mein to panjtan ka ghulam hoon

mein Qamar hoon shayar be nawa

meri haisiyat hi bhala hai kya

woh hain badshahoon ke badshah

mein hoon unke dar ka bas ik gada

mera panjtan se hai vaastaa

mera nisbaton ka hai silsila

mein faqeer kher ul anaam hoon

mein to panjtan ka ghulam hoon

Leave a Reply